Bin Tere Main Kuch Bhi Nahin

Bin Tere Main Kuch Bhi Nahin

Hindi

बिन तेरे मैं कुछ भी नहीं
यहोवा, मुझे तेरी ज़रूरत है
प्यार तू करता इतना
अपने हाथों पे खोदी मेरी सूरत है
यहोवा, मुझे तेरी ज़रूरत है

तू मेरे चेहरे की रौनक
और है मेरी क़ुव्वत
हसमत और जलाल के बादशाह,
तुझसे है मेरी ज़ीनत
तेरे बिना ये ज़िंदगी मेरी
बे-रौनक, बे-सूरत है
यहोवा, मुझे तेरी ज़रूरत है

तेरा कलाम है ऐसे,
जैसे हो अनमोल मोती
चिराग़ है क़दमों के लिए
और मेरी राहों की ज्योति
सहेजमा, तू ज़िंदा ख़ुदा है
तू न झूठी मूरत है
यहोवा, मुझे तेरी ज़रूरत है

आसमां तूने बनाया,
समुंदर की हद ठहराई
चरिंद-परिंद, पहाड़,
रिया और फूलों से धरती सजाई
कायनात इतनी सुंदर बनाई
तू खुद कितना ख़ूबसूरत है
यहोवा, मुझे तेरी ज़रूरत है

Bin Tere Main Kuch Bhi Nahin

English

Bin Tere Main Kuch Bhi Nahin
Yahova, Mujhe Teri Zarurat Hai
Pyaar Tu Karta Itna
Apne Haathon Pe Khodi Meri Soorat Hai
Yahova, Mujhe Teri Zarurat Hai

Tu Mere Chehre Ki Raunak
Aur Hai Meri Quwwat
Hasmat Aur Jalaal Ke Baadshah,
Tujhse Hai Meri Zeenat
Tere Bina Ye Zindagi Meri
Be-Raunak, Be-Soorat Hai
Yahova, Mujhe Teri Zarurat Hai

Tera Kalaam Hai Aise,
Jaise Ho Anmol Moti
Chiraag Hai Kadmon Ke Liye
Aur Meri Raahon Ki Jyoti
Sahejma, Tu Zinda Khuda Hai
Tu Na Jhoothi Moorat Hai
Yahova, Mujhe Teri Zarurat Hai

Aasmaan Tune Banaya,
Samundar Ki Had Thahraayi
Charind-Parind, Pahaad,
Dariya Aur Phoolon Se Dharti Sajaayi
Kayanaat Itni Sundar Banaayi
Tu Khud Kitna Khoobsurat Hai
Yahova, Mujhe Teri Zarurat Hai

Bin Tere Main Kuch Bhi Nahin Video

Next on Your List

Prabhu Ka Haath Mere Upar Hai Lyrics

Prabhu Ka Haath Mere Upar Hai Lyrics

Chinta Na Kar

Maharaja Yishu Tori Hove Song

Maharaja Yishu Tori Hove Song Lyrics

Pyaar Karu Itna Pyaar Karu Song Lyrics

Pyaar Karu Itna Pyaar Karu

Jis Din Mein Tu Na Ho Song Lyrics

Jis Din Mein Tu Na Ho

Sabse Pehle Sare Mann Se Song

Sabse Pehle Sare Mann Se Song